#HifazatKiDuaa SHAITAN SE HIFAZAT ❗️ Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jis ne ek din me 100 baar ye kaha: « لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ » (La llaha ilallahu, wahdahu la sharika lahu, lahul-mulku wa lahul-hamdu, yuhyi wa yumitu, wa huwa 'ala kulli shai'in qadir — Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi, tanha hain Unka koi shareeq nahi, Un ke liye badshaahi hai aur Unhi ke liye tareefein hain, Wahi zindagi dete hain aur maut dete hain aur Wo har cheez par qudrat rakhne wale hain) to ye us ke liye 10 gulamo ko azaad karne ke sawaab ke barbar hoga, aur us ke liye 100 nekiyaan likhi jayengi, aur us ki 100 buraiyaan mita di jayengi, aur ye us ke liye us din shaitaan se hifazat ka zariya hoga jab tak wo shaam tak naa pohoch jaaye. Aur qayamat ke din koi is se behtar amal le kar naa aayega siwaye us shaks ke jis ne yahi amal us se zyada kiya ho." 📚: Jami at-Tirmidhi 3468 | Sahih
Sharing Ilm - Roman: post #2195 — TG.ME
July 5, 2026 176