Sharing Ilm - Roman: post #2182 — TG.ME

Sharing Ilm - RomanARAFAT KE DIN ROZA RAKHNE KI FAZILIYAT ✨ Rasool Allah (ﷺ) se Arafat ke din roza rakhne ke bare me pucha gaya, to Aap (ﷺ) ne farmaya: "Arafat ke din ka roza, mai Allah se umeed rakhta hoon ke pichle saal ke gunaho ka kaffarah ban jayega aur agle saal ke gunaho…
FASTING REMINDER 🔔

Kal Roza Zaroor Rakhein In Sha Allah.

NOTE:
Sirf chote or mamoli gunah maaf kiye jaate hain. Bade gunah tab maaf kiye jaate hain jab ek banda dil se sacchi tauba kare – jese ke Ulema ne bayan kiya hai – to agar aap Allah se sacchi tauba karen, sacche dil se tauba karen to Allah Ta'ala aap ke bade gunaho ko bhi baksh denge jese ke Allah ne wada kiya hai.

Allah Ta'ala Qur'an me farmate hain, ayat (39:53):

"(Aey Paighambar meri taraf se logo ko) kehdo k aey Mere bando jinhone apni jaano par zyaadati ki hai Allah ki rehmat se naa umeed naa hona. Allah to sab gunaho ko baksh dete hain (aur) wo to bakhashne wale meherbaan hain."

Ummat or Mazloom ko apni duaaon me yaad rakhein.
May 26, 2026 188